Andhero ke saaye mein dhadkan suna gaye,
Hum to samjhe the “Ajnabi” aapko,
Aap to hume apna bana gaye
Meetha sa dard dil mein utha abhi abhi,
Kya tune yaad kiya abhi abhi?
Ek arse se mulaqat nahi hui
Phir bhi lagta hai tum mile abhi abhi.
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai,
Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai.
Dosti mein duniya lakh baney rukavat,
Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
Chand ko chandani par garoor hai, Chandni ko chand par.
Ham kis par garoor karein, hamara to chand hi hamse duur hai.
Haseeno ka kafila masjid ki aur ja raha tha, hamne bula liya.
Hum toh barbad ho chuke the sanam khuda ko barbad hone se bacha liya.
MAT KARO KOI WADA JISE TUM NIBHA NA SAKO,
MAT CHAHO USE JISE TUM PA NA SAKO,
PYAR KAHAN KISI KA POORA HOTA HAI,
ISKA TO PEHLA SHABD HI ADHOORA HOTA HAI
Meri har khata par naraz na hona,
Apni pyari si muskan kabhi na khona,
Sukoon milta he dekhkar apki muskurahat ko,
Mujhe maut bhi aye to bhi mat rona
Bhoolna tumhe na asaan hoga, jo bhule tumhe vo nadan hoga.
Aap to baste ho rooh mein hamari, aap hume na bhule ye apka ehsan hoga
Har sham se tera izhaar kiya karte hai,
Har khwab me tera didar kiya karte hai,
Diwane hi to hai hum tere,
Jo har waqt tere milne ka intzaar kiya karte hai.
Kabhi kisi se jikar-e-judai -mat karna..
Is DIL se kabhi ruswai mat karna..
Jab dil uth jaye humse to bata dena..
Na bata kar bewafai mat karna.
Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake
Missed call to ek bahana hai,
Irada to aapka ek lamha churana he,
Aap chahe humse baat karo ya na karo,
Aap ki yadon mein humara ana jana hai.
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna,
Kabhi kisi ka aitbaar na karna,
Tham ke khanjar apne hi hathon mein,
Bedardi se apne dil par vaar na karna
Zindagi ko ek rangin kalpana samjho,
Subah ko sach raat ko sapna samjho,
Bhulana chahte ho sabhi gamo ko to,
Zindagi me mujhe apna samjho
Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai.
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se.
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai.
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal.
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai.
Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya.
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai.
GAMO SE KYA DARNA WO TO SABHI KO MILTE HAIN
PHOOLO KO DEKHO HAMESHA KAANTO KE BEECH KHILTE HAIN
Sehmi Sehmi nigahon mein khwab hum saja denge,
Suni suni rahon pe phool hum khila denge,
Aap hamare sung muskura kar to dekho,
Aap har gam bhula denge.
Tumhari yadoon ko rok pana hai mushkil,
Rote huey dil ko manana hai muskil,
Ye dil apko kitna yaad karta hai,
Ek sms main likh pana hai mushkil…
Chiraghon ki roshni jab zara hili,
Laga tumhari ek aahat si mili,
Jaake dekha jab dar pe,
To phir wahi kafir hawa mili..
PYAR means….
P = Phone karna..
Y = Yaad karna..
A = Azadi khona..
R = Rote rehna, k kaash phone aaye!!
Unko hamari yaad aaye..So don’t PYAR.